Friday 17 October 2014

6 usefull Home tips in urdu


Nazlah:


Nazlah zukam khansi waghairah maraz mein haldi nehayat mufeed sabit huyi hai. hakimon ki rey ke mutabiq is tajurbah ki tasdeeq huyi hai khansi se ruke huye gale mein aur behte huye zukam mein haldi ke istemaal se khushki paida ho jati hai jis ke asar se khasi ka barhna ruk jata hai 4 mashah safuf haldi garam pani ke sath subha phir aisi hi aik khorak sham ko

Halaq ke Zakham:

Halaq aur talu mein zakham ho to aik kg pani mein aik tolah bareek pisi huyi haldi mila kar josh dein jab paao bhar pani baaqi rahe tab chan kar subha-o-shaam is ke sath gharare karein.

Ji matlane Par:

kisi bhi wajah se ji matla raha ho 6 long chiba jaiye foran aaram hoga.
Hichki:
Hichki aane par do long munh mein daal kar in ka ras chuste hi foran aaram ho jata hai.
Alichi sufaid 3 mashah, long 5 adad, donon ko thore se pani mein pees chan kar aik tolah misri mila kar piyain. Is se hichki buhat jald band hojati hai.

Bachon ka Kaan Dard:

Piaz ko bhu bhal mein daba kar narm karein phir nichor kar pani nika lein aur neem kar ke do teen qatre kaan mein dalein dard foran band hoga.

Frizer ka Khana:
Frizer mein munjamad shudah khane ki aadhi moqdar darker ho to bajaye pure khane ko garam karne ke churi(knife) ko aag par rakh kar garam kar ke khane ke pack ko aadha aadha kar lein. Baqaya aadha hissah do barah firzer mein rakh dein aur aadha garam kar lein.

About the Author

Sajid

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

Post a Comment

 
Style In Life © 2015 - Designed by Templateism.com | Distributed By Blogger Templates