Monday 14 September 2015

Sar Dard ke behtareen Totkay in Urdu

Sar Dard ke behtareen Totkay in Urdu


Kisi dabao,ghraloo jahgry nazar ka kmzor hona gharz ky bohat si cheezein sar dard (headache) ka moajb bnti hein.
Sar ka dard pooray jism ko beichan kr deta hy. Kisi kam mein ji nhi lgta. Tabiyyat mein awazargi paida ho jati hy.
Doctori dawein khany sy waqti skoon to aa jata hy magar isky after effects mzeed preshani k sbab bnty hein.
Idhr udhr ilaj dhoondny sy bhtr hy ky hm apny bavarchi khany ka rukh krei. Jahan roz marrah ki istamal ki chezain jesay masaly(spices),sbzian(vegetables),phul(fruits) waghera sar dard ya headache ka khatma ba asani kr sakty hin.

Migraine adha sar dard hota hai yah bar bar hota hai basri aur maday ki kharabi shamil hoti hai yeh dard sar kay adhay hissay mein hota hai baz aoqat saray sar mein phail jata hai.

Tension say sar dard aur migraine mein farq karna mushkil hai is dard ki zahir wajuhat ka ilm nahin yeh blood vessels oedema ki wajah say bhi hota hai maday mein say nitric oxide paida hota hai.

Migraine mein aham kirdar ada karta hai is dard ki wajah sa bolnay mein dushwari,jisam kay aza ka kanpna aur kamzori hoti hai pregnancy kay doran aurton ka blood pressure girjata hai sar mein chot lagnay say bhi migraine hosakta hai.

Migraine auton ko ziyadah hota h ai is say bohot bechaini aur baisukuni hoti hai migraine say dil par bhi asar hotaha
Migraine morusi dard hota ha jo aik fard say doosray fard ko hojata hai.

Clinical Features:

Migraine kay attack say pehlay mariz ankhon kay samnay roshni si chamakti hai usay matli aur qay ati hai tabiyat kharab hoti hai is kay bad sar kay adhay hissay mein halka dard hota hai.

Kuch dair bad shaded hojata hai mariz shor bardasht nahin karsakta yeh attack kuch ghantay rehta hai ya phir do din bad theek hota hai mariz kay chehray ka rang pila parjata hai nabz ki rafter barh jati hai dil ki dharkan tez hojatihai.

Migraine do terha ka hosakta hai kae marizon ko sar dard shurooh honey say pehlay ankhon kay samnay roshti chamakti nazar ati hai jo 10-20 minute tak rehti hai phir sar dard shurooh hota hai is attack ko classic migrane headache kahtay hain.

Kaee marizon ko dard kay doran aik taraf tank aur bazoo mein kamzori ajati hai aur dard khatam honay kay bad thek hojati hai is qisam kay dard ko complicated migraine kahtay hain baz marizon ko adhay sar dard say shurooh hokar puray sar ka dard hojata hai isay commin migraine kahtay hain zaban sun hojati hai sar chakrata hai benaee par asar hota ghashi hojati hai zaban mein laknat hojati hai migrane aik mah mein do ya teen bar ho sakta hai.

Laboratory Test:

Mirgrane kay doran agar maloom hojai kay dard kisi dimaghi infection ka natija hai to dimagh ki cat scan ki jai takay tumour ka shak door hosakay agar tumour nahin hai to dawayon say ilaj kiya jai.

Treatment:

Mariz ko agar aik mah kay ander do attack hotay hain to isay mandaja zail dawaee istemal karni chahiye.

1.    Indral l.a.capsules
Mariz ko rozana 80 mili gram  ka aik capsule subha ko 5 roz tak dain is kay bad 120 miligram rozana aik mah tak jari rakhain mariz ka blood pressure aur nabz check kartay rahain nabz 55 say upper aur blood pressure 110 say nichay nahin hona chahiye  agar zaroorat paray to indral ki miqdar 160 mili gram rozana kardain.

2.    Paracetamol
 tabs 500 mili gram ki do goliyarn ikhatti dain.

3.    Amitriphyline
ki 25 mili gram ki aik goli rat ko sotay waqt dain  har 5 din bad khurak ki miqdar 25 mili gram barhain aur 100-150 mili gram tak lay jain is dawaee say mariz ko qabz ,munkhushk hona aur peshab ruk ruk kar ana ki shikayat hosi  aur khud hi theek hojaigi.

4.    Sumatruptan
naratreptan aur rizatriptan bhi day saktay hain.

5.    Propranool
10 mili gram din mein 3 bar dain is ki khurak 40-80 mili gram tak barha saktay hain.

6.    Methyl sergide
2-6 mili giram rozana aur 6 mah tak istemal karain.

12 sal say kam umar kay bachon ko pariactin goliyan 10 mili gram ki adhi goli rozana 5 din tak dain is kay bad adhi goli barhadain aur phir puri aik goli rozana din mein 2 bar dain yeh khurak 20 mili gram tak barha saktay hain  in dawayon say mariz ko migraine kay attacks hona ruk jaingay.

Sar dard ko shurooh mein ruknay kay liye aborative therapy karsaktay hain phir upper likhi huee dawaee ka istemal nahin karna.

Home Remedies:

*Gundhay huay aatay ko dono kun ption py lga lein.jub sookh jayey to geelay kpray sy saaf kr lein.sr drd theek ho jyey ga.

*Podeenay ky paton ko ik cup pani mein dalein or isko khoob krahein.jb podeena apna rung chor dy to is mein chnd ktry lemoo ky rus ky shamil kr lein.is ko peenay sys r drd theek ho jyey ga.

*Zaitoon ya nareal ky teil ki sar py malish krny sy sar dard theek ho jata hy.

*Neem grm serso ky teil ki grdn or kundhon ki malish krny sy sar dard mein afaka hota hy.

*Neem grm pani mein paon 20 minutes ky lyeybhigo lein. Sar dard km ho jyey ga.

*Coffee ka istimaal sar ky dard ko km krta hy or tension say nijaat dilate hy.

*Chunmbali ki chaey sar dard mein bhtreen dwa sabit hoti hy.

*Lhsn(garlic)ky jway(cloves)pees kr paste bna lein is sy ser ki malish krein.aram mehsoos ho ga.

*Subha subha 1 saib(apple)chilka utaar ky khein or is mein nmk zroor shamil krein.1hfty tk ka istimal sr drd sy nijaat dy ga.

*Tulsi ky patay or adrk ka tukra pani mein ubaal lein.or thunda kr ky ik bottle mein mehfooz kr lein.sr jub drd kry to ik chaye ki chmch neem grm pani ky sath pi lein.

*1 cup pani mein 1 khany ka chmch adrk powder shamil krein.is pani ko apny mathy py lga kr 15 minutes ky lyey chor dein.ser drd theek ho jyey ga.

*Agr sr drd tension ya anxiety ki wjha sy ho to grdn ser or kndho py brf(ice)ka tukra phernay sy aram a jata hy.

*Jub bhi dhoop mein bethein to pani zroor peetay rahein kiokey jism mein pani ki kmi sar dard ka sbub bnti hy.

*Sakht dhoop mein nikalty waqt geela tolya gardan ky peechay rkh lein.yeh totka na sirf sar dard say bchata hy balky sunstroke sy bhi mehfooz rkhta hy.

*Apni neend ka khatir khwa khyal rkhein.kionky neend ki kmi sar dard , beichani or ghusay  ka bias bntee hy.


*Tension ki wjha sy sr drd aam tor py ho jata hy. Aisee sort e haal mein laughter therapy bhi kafi mufeed sabit hoti hy. Koshish krein koi mzahya film ya cartoon deikhein yap hr bachon ki lateefon ki kitaab sy lutf andoz hon. Hasna bhi sar dard ko km krta hy or jsm mein khoon ka dorania brhata hy.

About the Author

Sajid

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

Post a Comment

 
Style In Life © 2015 - Designed by Templateism.com | Distributed By Blogger Templates