Thursday, 27 August 2015

Try Best Remedies For Face Beauty Tips.

Try Best Remedies For Face Beauty Tips.


Hamara chehra ya face hamari shaksiyat ka aaina hota hai or iss ka khayal rakhanay kay liyay log buhat papar bailtay hai. Mosum ki tabdili or deegar awamil chehray ki khubsurti per buhat asar indaz hotay hain.

Badaltay mosam kay sath sath khany peenay mey khyal na rakhnay say bhi hamaray chehray per foren asar perta hai. Munderja zail asaan gharelo totkay apnaa kar hum apnay chehray ki khubsurti yani face beauty na sirf bahal karsaktay hai balkay iss mey izafa bhi karsaktay hai.

Gharelo Totkay for Face Beauty:

1. Taro taza chahray (face) kay liyay : 
taaza pani peenay say chehra taro taza rahta hai or ham ko kam uz kum 8 say 9 glass pani kay poray din mey zaroor peenay cahiyay.

2. Dhoop say jhulsi hoie jild kay liyay : 
dhoop say kharab honay wali jild ki jalan say mehfooz rehnay  kay liyay tamatar kay qatlay chahray per mal lay. Dhoop say ander aanay kay baad or soonay say pehlay 10 minutes tek yey amaal dohrain.

3. Chehray yani face kay siyah daanay door karnay kay liyay:
chahray kay siyah Dannay door karnay kay liyay rozana in siyah daano per adrak ka tail lagae tou yeh daanay door ho jae gai.

4. Charay ki thakawat door karnay kay liyay: 
aik dongay mey podinay kay chand paatay ya in patoo ka arq mila kar is pani say mou dho lay tou chehra taza ho jai ga.

5. Chahray ki jhurio kay liyay : 
Roozana gajar ka juice peenay say chahray ki jhuria kum hina shuroo ho jai gi.

6. Rung gora karnay kay liyay : 
agar lemo ka rus or arq-e gulab hamwazan mila kar is mey dugni glycerin shamil karlai or iss ko aik shishi mey akhata kar lai. Subh or raat sonay say pehlay is amaizay ko apnay chahray per lagai tou rung gora hana shuroo ho jai ga.



7. Chahray (face) kay falto baalo kay liyay : 
chahray kay falto baloo say nijat kay liyay haldi, basin or dahi ka gaahra amaiza bana kar chahray per lagai or 15 munites kay liyay chor dai. Phir halka halka massage karai. 15 munites baad chahray ko taza pani say dho lai, tou charay ka roowa kum hona shuro ho jai ga. Yeh totka haftay mey aik dafa kia ja sakta hai.

8. Chahray kay aik jaisay rung kay liyay : 
apnay chahray kay rung ko aiksa karnay kay liyay  sundal ka powder, tamatar juice, lemo ka juice or kheeray ka juice mila kar paste ban alai or chahray per mal lai. Is ko kushk honay dai or phir taaza pani say dho lijia. Rung nikharna shuro ho jai ga or mukhtalif rung ki jaga tamam chahray ka aiksa rung ho jai ga.

9. Ankho kay halko kay liyay : 
agar ankho kay nichay halqay ho tou uss kay liyay kheeray kat kar ankho pey rakhnay say halkay kum hona shuro hojatay hai.

10. Chehray yani face ko thunday pani say dhonay say 
is ki freshness mey izafa hota hai khas tour per ager chahray per threding yeh bleach use ki jai tou is ko thunday pani say zaroor dohna cahiyay.

11. Chehre yani face per shehed 
(honey) lagaen aur 15-20 minutes baad dho lain.

12. Smooth aur healthy face ke liye aik gharelo totka 
yeh hai k tamatar ka ras bohat mofeed hai. Tamatar ka rass chehre par lagaen aur 15-20 minutes ke baad dho lain, chehra yani face nurm o mulaem nazar aye ga aur iski khubsurti main izafaat ho ga.

13. Face ko fresh bananay k liye lemon akhrot 
(walnut) aur dehi (yogurt) ko mila kar face mask bana kar laga lain.

14. Mint yani podeenay ka istemal bhi face k liye aik aham totka hai.
Mint ko food main bhi istemal keya ja sakta hai ya iske patay directly bhi face per lagay ja sakte hain.

About the Author

Sajid

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

Post a Comment

 
Style In Life © 2015 - Designed by Templateism.com | Distributed By Blogger Templates